Prophet Mohammad (P.B.U.H) said: The most excellent worship is Dua. (Sahih Al-Jami)
Allah says in the Holy Quran: "When my servants ask you concerning me, (tell them) I am indeed close (to them). I listen to the prayer of every suppliant when he calls on me." (Quran, 2:186)
Let's make better duas to Al-Khaaliq (The Creator)
-
Ya Allah, ye Ramadan ke mahine ke liye hum bohot shukr guzaar hai. Humare kai saathi aur rishtedaar jo pichle Ramadan mein humare saath the aaj wo qabr mein lete hue hai. Lekin humein ek aur Ramadan naseeb hua hai, isse gaflat mein guzar ne nahi dena. Ho sakta hai ye humari zindagi ka bhi aakhri Ramadan ho, is mahine ki ahmiyat humare dilon mein daal de aur is mahine ki qadr karne wala banade. Is mahine ka beintehan fayda uthane ki aur neki karne ki taufeeq ataa farma.
-
Ya Allah, humein Quran ki tilaawat karne ki taufik ataa farma. Quran e paak ki qadr karne wala bana de. Jo kitaab apne humare deen ko mukammal banane ke liye naazil kiya tha, usko humnein kabhi padh kar aur samajh kar apni zindagi mein utaarne ki koshish nahi ki. Ya Allah, humein Quran e paak ko maine ke saath padh kar, samajh kar, siraatun mustakeem pe chalne wala bana de.
-
Ya Allah, hamare dost aur ahbab jo hamare sath kandhe se kandha mila kar namazon mein haazir hote the, aaj wo mann aur mitti ki chaadar taan kar qabr mein so gaye, Ya Allah koi nahi hein un ke ird gird, Ya Allah hum un ke liye dua karte hein, hamari duao ko un ka sathi bana kar hashr tak un ke sath shaamil rakhna aur un ki qabr ko Jannat ke baagho mein se ek baagh bana dena.
-
Ae Allah Shariat ka har kaam karna hamare liye asaan farma de, Ae Allah jis tarah bhook lagti hein hum khaa lete hein, pyaas lagti hein hum pee le te hein, neend aati hein so jaate hein, isi tarah hamare liye Shariat ka har kaam asaan kar de, aur Jin kaamo se tu naaraaz hota hein, un kaamo se hamein mukammal tor par ihtiraaz Naseeb farma, aur ae Allah kabhi nafs aur shaytaan ke dhoke mein aa kar tujhe naaraaz kar bethe to ae Allah hum par nazr rahmat kar ke phir taubah ki tawfeeq Naseeb kar dena
-
Ya Allah, Aaj humari ummat badi pareshaan hai, zulm se ghiri hui hai, na-insaafi ka shikaar bani hui hai, musibaton se jhujh rahi hai. Lekin in sab takleefon se badi ek takleef hai jo unhein mayoos kar rahi hai aur wo hai na ummeedi. Jab ek mazloom ki ummeed toot jaati hai tab uska koi sahara baki nahi rehta. Ya Allah, na ummeedi mein ummeed dikhana wale aap ho, Na mumkin ko mumkin karne wale aap ho, Mazloom ko sahara dene wale aap ho, Mayoosi ko door karne wale aap ho. Takleef se guzar rahe in tamaam logo ki awaaz sunne wale aap ho. Khaliq bhi aap ho aur Maalik bhi aap ho. Ya Allah, in musibaton se pareshaan logo ki pareshaaniyon ko door farma. Aansuon se bhari in mayoos aankhon mein khushiyan naseeb farma.
-
Ya Allah, hum gunehgaar hai, bohot sare gunah anjaane mein kar baithte hai, aur kayi gunah jaan kar bhi karte hai. Humare gunah itne bade hai ki maafi ke layak bhi nahi hai, lekin in bade gunaho ke aage Ya Allah aapki rehmat kai guna badi hai. Ya Rahman, aapki rehmat ke aage humare gunaho ko chota samajh kar unhein maaf farma.
- View More
Duas in Hindi
- View More