Prophet Mohammad (P.B.U.H) said: The most excellent worship is Dua. (Sahih Al-Jami)
Allah says in the Holy Quran: "When my servants ask you concerning me, (tell them) I am indeed close (to them). I listen to the prayer of every suppliant when he calls on me." (Quran, 2:186)
Let's make better duas to Al-Khaaliq (The Creator)
-
Ya Allah, zindagi ka bohot bada hissa teri nafarmani mein guzr gaya, Ae Allah agar hum isse pehle mar jaate to yaqeenan aap ki pakar mein hote, sakhti mein hote, azaab mein hote, Ya Allah yeh teri rahmat ne na hone diya, tu ne itne mawqe diye ke hum tere saamne hamare gunaho ki maafi maang sake, Ya Allah agar tu ne hamein dhutkar diya to kon hamein panaah dega, Ya Allah koi nahi hein, Ae mere maalik hamare tamaam gunaho ko maaf Farma.
-
Ya Allah, hamare dost aur ahbab jo hamare sath kandhe se kandha mila kar namazon mein haazir hote the, aaj wo mann aur mitti ki chaadar taan kar qabr mein so gaye, Ya Allah koi nahi hein un ke ird gird, Ya Allah hum un ke liye dua karte hein, hamari duao ko un ka sathi bana kar hashr tak un ke sath shaamil rakhna aur un ki qabr ko Jannat ke baagho mein se ek baagh bana dena.
-
Ya Allah aap Rahman ho, aap Raheem ho. Ek maa apne bachhe se jitna pyaar karti hai, usse kai guna zyada pyaar aap apne bando se karte ho. Ek maa apne bigde hue bachhe ko seene se laga kar uski buraiyo pe parda dal deti hai, ussi tarah, aap hum sab ki buraiyo pe parda daal kar hum par rahmat barsa aur hum sab ke gunaho ko maaf farma.
-
Ya Allah, humare maa baap ne zindagi bhar takleef utha kar humein bada kiya hai. Unki jitni bhi khidmat hum kar lein, kabhi bhi unka badla hum chuka nahi payenge. Ye jo aaram wali zindagi humein aaj mili hai, wo sab unki qurbaniyon ke badolat mili hai. Hum dua karte hai ki humare maa baap ko jannat ul firdaus naseeb ho. Ya Allah humare maa baap ko jahannam se bacha kar jannat naseeb farmana.
-
Ya Allah, Qayamat ke din humein zaleel na karna. Hum itne bade gunehgaar hai ki agar humare gunah duniya ke saamne aa jaye to hum kisi ko apna chehra nahi dikha payenge. Lekin jaise aapne zindagi bhar humare gunaho pe parda kiya hai, ussi tarah humare gunah ko maut se pehle maaf farmana, aur humein Qayamat ke din ruswai se bachana.
-
Ya Allah, aainda jitni zindagi hein, yeh to tu hi Jaanta hein, Ae Allah zindagi ke jitne ayyaam baaqi hein, jitne saal baaqi hein, ae Allah zindagi ke un ayyaam ko apni razamandi wale kaam mein, aur apne Deen mein kharach karne ki tawfeeq Ata farma, ae Allah apne pasandeeda kaamo mein guzaarne ki tawfeeq Ata farma, ae Allah in pasandeeda kaam ko karna hamare liye aasaan karde, in naik kaamo ko karna hamari tabiyat bana de.
View More
Duas in Hindi
- View More