Prophet Mohammad (P.B.U.H) said: The most excellent worship is Dua. (Sahih Al-Jami)
Allah says in the Holy Quran: "When my servants ask you concerning me, (tell them) I am indeed close (to them). I listen to the prayer of every suppliant when he calls on me." (Quran, 2:186)
Let's make better duas to Al-Khaaliq (The Creator)
-
Ya Allah, ye Ramadan ke mahine ke liye hum bohot shukr guzaar hai. Humare kai saathi aur rishtedaar jo pichle Ramadan mein humare saath the aaj wo qabr mein lete hue hai. Lekin humein ek aur Ramadan naseeb hua hai, isse gaflat mein guzar ne nahi dena. Ho sakta hai ye humari zindagi ka bhi aakhri Ramadan ho, is mahine ki ahmiyat humare dilon mein daal de aur is mahine ki qadr karne wala banade. Is mahine ka beintehan fayda uthane ki aur neki karne ki taufeeq ataa farma.
-
Ya Allah, Qayamat ke din humein zaleel na karna. Hum itne bade gunehgaar hai ki agar humare gunah duniya ke saamne aa jaye to hum kisi ko apna chehra nahi dikha payenge. Lekin jaise aapne zindagi bhar humare gunaho pe parda kiya hai, ussi tarah humare gunah ko maut se pehle maaf farmana, aur humein Qayamat ke din ruswai se bachana.
-
Ya Allah, humare maa baap ko tandurusti ataa farma. Humein unki khidmat karne ki taufeek ataa farma. Maut ke aane tak humare maa baap ko kisi baat ki takleef na ho. Na bimari ki takleef jo jism mein dard pohonchaye aur na dil ki takleef jo kisi ki baaton se pohonche. Unhein hamesha khush rakhna aur humein unki khushiyon ki wajah banana.
-
Ya Allah, duniya mein kayi Musalmaan bhai, behne aur bachhe pareshaan hai. Unka koi madad karne wala nahi hai. Koi unke aansoo pochne wala nahi hai. Koi unhe sahara dene wala nahi hai. Hum madad karna chahte hue bhi unki sahi tarah se madad nahi kar pa rahe hai. Aisi haalat mein sirf aap hi ho jo un pareshaan logon ki hifaazat kar sakte ho. Ya Allah takleef se pareshaan musalmano ki takleef ko door farma.
-
Ya Allah aap Rahman ho, aap Raheem ho. Ek maa apne bachhe se jitna pyaar karti hai, usse kai guna zyada pyaar aap apne bando se karte ho. Ek maa apne bigde hue bachhe ko seene se laga kar uski buraiyo pe parda dal deti hai, ussi tarah, aap hum sab ki buraiyo pe parda daal kar hum par rahmat barsa aur hum sab ke gunaho ko maaf farma.
- View More
Duas in Hindi
- View More